Piston, engine ka ek component hota hai jo engine ke cylinder ke ander move karta hai yeh piston rings ki help se gas ko tight karta hai aur power generate karta hai.
engine me jab gas expand hoti hai to piston,piston rod or connecting rod ki help se cylinder se crankshaft me force transfer karta hai.
par agar hum kisi pump ki baat kare to iska function engine se ulta hota hai .
pump me force crankshaft se piston me transfer hota hai .
pump me piston ka kam fluid ko cylinder me compress karna aur bhar nikalna hota hai.
kuch engine me piston, cylinder ki wall me ports ko open karne aur close karke valve ki traha bhi kam karta hai .










